ik tilism-e-ajab-numa huun main
kya bata.un tumhen ki kya huun main
hai zaval apna ik nishan-e-kamal
bado ki tarah ghaT gaya huun main
kya nishan puchhte ho tum mera
rah-e-gum-gashta ka pata huun main
hai ye hairat ki huun tajassum-e-dard
aur har dard ki dava huun main
meri shohrat hai meri gumnami
quvvat-e-bazu-e-huma huun main
rah-e-ulfat men naqsh-e-pa ki tarah
ḳhaak ho ho ke miT gaya huun main
saghar-e-ishq kar gaya be-ḳhud
hosh kis ko nahin huun ya huun main
ḳhaak samjho tum aabru meri
dard-e-e.azaz ki baha huun main
dam ghanimat hai saliko mera
jaras-e-daur ki sada huun main
huun surahi men bada-e-ahmar
aur mai-e-surḳh men nasha huun main
jis tarah se kanval ho paani men
ho ke duniya men phir juda huun main
ḳhaksari hai meri jauhar-e-zat
ḳhaak men misl-e-kimiya huun main
dur durj-e-vafa ki aab huun main
dil ke a.ine ki safa huun main
aaj hai meri dhaak aalam men
ru-shanas-e-shah-o-gada huun main
dhuum hai fann-e-sher men meri
qamar-e-ilm ki ziya huun main
likhun gar dastan-e-ranj-o-alam
dil-e-ba-shikasta ki sada huun main
gar karun zikr-e-saz-e-aish-o-tarab
tuti-e-ḳhuld ki nava huun main
gar main likkhun bayan-e-arsa-e-razm
navak-e-tarkash qaza huun main
ek is nazm par hai kya mauquf
nuur sham-e-ulum ka huun main
qadr hai meri qadr-e-ilm-o-hunar
kya zamane men dusra huun main
huun to sab kuchh pe kuchh nahin ‘kaifi’
surat-e-mauja-e-fana huun main
Leave a Reply