paḌh rahe the vo lab-e-hur hamara qissa
yuun hi thoḌi hua mash.hur hamara qissa
sirf ik aib nikala tha ghalat-fahmi ne
ho gaya ham se bahut duur hamara qissa
agin yaden tiri haath men marham le kar
jab bhi banne laga nasur hamara qissa
ham vo jugnun hain kisi vaqt kisi se sun kar
ro paḌi thi shab-e-dijur hamara qissa
ḳhamushi ne unhen honTon pe kiya apna qayam
yaad jin jin ko tha bharpur hamara qissa
‘faiz’ jo peḌ lagaya hai adab ka ham ne
jaari rakhega ba-dastur hamara qissa
Leave a Reply