ma.alum kuchh hua hi na dil ka asar kahin
aisa gaya ki pher na paa.i ḳhabar kahin
aalam men hain asiir mohabbat ke har kahin
lekin sitam kisu pe nahin is qadar kahin
kholi thi chashm-did ko teri pa juun hubab
apne ta.iin main aap na aaya nazar kahin
juun ghuncha fikr jam.a na kar Tuk tu gul ko dekh
qismat ki kho sake hai pareshani zar kahin
rahne do meri na.ash ko ho jaa.e ta-ghubar
le ja.egi uḌa ke nasim-e-sahar kahin
masraf hai sab ye balish-e-sayyad ka tire
bismil na bhariyo ḳhuun se tu bal-o-par kahin
roti hai kya gulon ko tu shabnam idhar to dekh
TukḌe hai is tarah se kisi ka jigar kahin
karta tha kal gali men vo apni ḳhiram-e-naz
is men jo aa ke paḌti hai mujh par nazar kahin
kahne laga ye dekh ke ahval ko mire
bad-nam tu kisi ke ta.iin yaan na kar kahin
kya hattiya tujhe yahin deni hai ai aziiz
itna paḌa hai mulk-e-ḳhuda ja ke mar kahin
‘qa.em’ ye faiz-e-sohbat-e-‘sauda’ hai varna main
tarhi ghazal se ‘mir’ ki aata tha bar kahin
Leave a Reply