pada hai zindagi ke is safar se sabiqa apna
jahan chalta hai apne saath khali rasta apna
kisi dariya ki surat bah rahi huun apne andar main
mira sahil badhata ja raha hai fasla apna
luta ke apna chehra tak rahi huun apna munh jaise
koi pagal ulat ke dekhta ho aina apna
ye basti log kahte hain mire khvabon ki basti hai
ganva baithi huun men bad-qismati se hafiza apna
gae mausam men main ne kyuun na kaati fasl khvabon ki
main ab jaagi huun jab phal kho chuke hain zaiqa apna
fasana-dar-fasana phir rahi hai zindagi jab se
kisi ne likh diya hai taq-e-nisyan par pata apna
Leave a Reply