Pa-E-Talab Ki Manzil Ab Tak Wahi Gali Hai

pā-e-talab kī manzil ab tak vahī galī hai

āġhāz bhī yahī thā anjām bhī yahī hai

jis dāstān-e-ġham kā unvān raushnī hai

har lafz kī siyāhī ḳhud muñh se boltī hai

tarz-e-tapāk qaa.em lutf-e-nazar vahī hai

lekin ye vāqi.a hai phir bhī koī kamī hai

un kī nazar se dil kī ye bahs ho rahī hai

kyā chiiz zindagī meñ maqsūd-e-zindagī hai

har laġhzish-e-bashar par tanqīd karne vaalo

tum ye bhulā chuke ho insān aadmī hai

ye sāzish-e-taġhayyur hai kitnī jān-levā

mujh ko jagā ke merī taqdīr so ga.ī hai

haañ mere vāste hai taḳhsīs kā ye pahlū

duniyā samajh rahī hai andāz-e-be-ruḳhī hai

mumkin nahīñ ki dāman be-dāġh ho kisī kā

sach pūchhiye to duniyā kājal kī koTharī hai

tābinda har-nafas hai ummīd kī badaulat

mehrāb-e-zindagī meñ ik sham.a jal rahī hai

dekhe to koī shān-e-sahar-e-nigāh-e-sāqī

sāġhar meñ khiñch ke rūh-e-mai-e-ḳhāna aa ga.ī hai

vabasta-e-nafas hai nazm-o-nizām-e-hastī

ya.anī havā pe qaa.em buniyād=-e-zindagī hai

kab tak ye ḳhvāb-e-ġhaflat jaago ‘urūj’ jaago

ab dhuup baḌhte baḌhte sar par hī aa ga.ī hai

Leave a Comment