hai hai koi dil dene ke qabil nahin milta
arman taḌapte hain ki qatil nahin milta
ho aql to ho til ki jagah aankh men laili
jhak qais ki hai sahib-e-mahmil nahin milta
gul ki tire ruḳhsar se rangat nahin milti
naale se mire shor-e-anadil nahin milta
apna bhi to milta nahin dil mujh se phir ai yaar
kis munh se kahun tujh se tira dil nahin milta
bosa nahin dete hain shab-e-vasl men bhi aap
mazrua-e-umid ka hasil nahin milta
milta nahin aariz se tire mehr-e-daraḳhshan
peshani se teri mah-e-kamil nahin milta
chamke na ‘vaqar’ aage ruḳh-e-yar ke ḳhurshid
samjhe rahe haq se kabhi batil nahin milta
yarab tamkin dahr men qatil nahin milta
phike kisi dilbar se mira dil nahin milta
vo ishq ka dariya hai ki ilyas ko jis ka
kahne ko pa.e naam bhi sahil nahin milta
maujud hai filfil mujhe gham is ka nahin hai
gar dekhne ko ruḳh ka tire til nahin milta
mashq-e-sitam-o-jor ka chaurang huun is se
ashiq koi mujh sa unhen be-dil nahin milta
ash.ar ‘vaqar’ aisi ghazal main kahun kya ḳhaak
mushkil to ye hai qafiya mushkil nahin milta
Leave a Reply