ḳhuda kare to kisi raaz ka amiin na bane
guman guman hi rahe aur kabhi yaqin na bane
tujhe ye shauq ki parvaz ho buland apni
mujhe ye Dar ki kabhi asman zamin na bane
ye baat aur hai koshish hazar ki ham ne
hamare sher tumhari tarah hasin na bane
ye alamiya hai hamara ki ham ba-har-surat
tamasha-gah rahe aur tamash-bin na bane
ajab vo ghurbat-e-divar-o-bar-o-dar thi ki ham
makan men rahe lekin kabhi makin na bane
uThao haath dua ko to ehtiyat rahe
ye haath uTh ke kabhi nang-e-astin na bane
Leave a Reply