• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Numu

Numu

obaidullah-aleem

main vo shajar tha

ki mere saae men baithne aur shakhon pe jhulne ki hazaron jismon ko aarzu thi

zamin ki ankhen darazi-e-umar ki duaon men ro rahi thiin

aur suraj ke haath thakte nahin the mujh ko sanvarne men

ki main ik avaz ka safar tha

ajab shajar tha

ki us musafir ka muntazir tha

jo mere saae men aa ke baithe to phir na utthe

jo meri shakhon pe aae jhule to saare mausam yahin guzare

magar vo pagal hava ka jhonka magar vo pagal hava ka jhonka

ajab musafir tha rahguzar ka

jo chhod aaya tha kitni shakhen

magar laga yuun ki jaise ab vo shikasta-tar hai

vo mere khvabon ka ham-safar hai

so main ne saae bichha diye the

tamam jhule hila diye the

magar vo pagal hava ka jhonka magar vo pagal hava ka jhonka

ajab musafir tha rahguzar tha

ki lamhe bhar men guzar chuka tha

main be-numu aur be-samar tha

magar main avaz ka safar tha

so meri avaz ka ajar tha

ajab shajar tha

ajab shajar huun

ki aane vaale sah kah raha huun

ai mere dil men utarne vaale

ai mujh ko shadab karne vaale

tujhe miri raushni mubarak

tujhe miri zindagi mubarak

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Be-Misl-O-Be-Hisab Ujalon Ke Baad Bhi

Ye Aankh Bhi Ye KHwab Bhi Ye Raat Usi Ki

muneer-niyazi

Ek Main Aur Itne Lakhon Silsilon Ke Samne

akhtar-ansari

Mere Rukh Se Sukun Tapakta Hai

Ghaeb Har Manzar Mera

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet