vaqt ka kuchh ruka sa dhara hai
tum ne shayad mujhe pukara hai
tum na aaoge ye bhi hai ma.alum
chand yadon ka bas sahara hai
un ki yadon ke chand phulon se
chaman-e-taza dil hamara hai
aaj ham ne to de ke jaan apni
zindagi tera qarz utara hai
un ki nazron ne zaḳhm-e-dil ko mire
mundamil kar ke phir ubhara hai
log kahte hain us ko bhi shabnam
sar-e-mizhgan jo ik sitara hai
phir bhi hasil sukun nahin ‘aslam’
umr bhar hasraton ko maara hai
Leave a Reply