• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Saman Sad Hazar Hain Tu Jag to Sahi

Saman Sad Hazar Hain Tu Jag to Sahi

poet

saman sad hazar hain tu jaag to sahi

sab vaqf-e-intizar hain tu jaag to sahi

ghafil nazar uTha ki vo asar-e-sub.h-e-nau

gardun pe ashkar hain tu jaag to sahi

auqat teri quvvat-e-bazu pe munhasir

lamhat sazgar hain tu jaag to sahi

tera yaqin tera amal tere valvale

hasti ka e’tibar hain tu jaag to sahi

o mahv-e-ḳhvab dida-e-bina ke vaste

ḳhud jalve be-qarar hain tu jaag to sahi

be-barg be-libas daraḳhton ki Tahniyan

paigham-e-nau-bahar hain tu jaag to sahi

‘aḳhtar’-ziya.i niind ke maton ke shahr men

kuchh log hoshiyar hain tu jaag to sahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Taj-E-Zarrin Na Koi Masnad-E-Shahi Mangun

Aarzu Raqs Mein Hai Waqt Ki Aawaz Ke Sath

asrarul-haq-majaz

Karishma-Sazi-E-dil dekhta Hun

Jabin-E-Dil Pe Nadamat Ka Dagh Rahta Hai

Kya Bataen Kahan Kahan the Phul

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet