numu to pahle bhi tha iztirab main ne diya
phir us ke zulm-o-sitam ka javab main ne diya
vo ek dubti avaz-e-baz-gasht ki aa
saval main ne kiya tha javab main ne diya
vo aa raha tha magar main nikal gaya kahin aur
so zakhm-e-hijr se badh kar azaab main ne diya
agarche honton pe paani ki buund bhi nahin thi
sulagte lamhon ko ek sail-e-ab main ne diya
khula hai pahlu-e-pur-josh be-muhaba aa
ik aur mashvara-e-inqilab main ne diya
ye mujh se girya-e-bebak kyuun nahin hota
to apne dard ko khud pech-o-tab main ne diya
nakhil-o-kisht ko sairab main nahin karta
zamin ko qarz magar be-hisab main ne diya
badan khud apni hi tajsim kar nahin paate
qarib aaya to ankhon ko khvab main ne diya
Leave a Reply