ehsas ka qissa hai sunana to paḌega
har zaḳhm ko ab phuul banana to paḌega
mumkin hai mire sher men har raaz ho lekin
ik raaz pas-e-sher chhupana to paḌega
ankhon ke jaziron pe hain nilam ki qataren
ḳhvabon ka janaza hai uThana to paḌega
chehre pe ka.i chehre liye phirti hai duniya
ab aa.ina duniya ko dikhana to paḌega
zehnon pe musallat hain siyah soch ke badal
zulmat men diya dil ka jalana to paḌega
vo dushman-e-jan jaan se pyara bhi hamen hai
ruThe vo agar us ko manana to paḌega
rishton ka yahi vasf hai ‘zakir’ ki nazar men
kamzor sahi rishta nibhana to paḌega
Leave a Reply