dil-e-fasurda ko ab taqat-e-qarar nahin
nigah-e-shauq ko ab tab-e-intizar nahin
nahin nahin mujhe bardasht ab nahin ki nahin
khuda ke vaste kahna na ab ki baar nahin
hamesha vaade kiye ab ke mil hi ja aa kar
hayat-o-vaada-o-duniya ka eatibar nahin
dikhati apni mohabbat ko chiir kar siina
magar numud mira sheva-o-shiar nahin
miri bahan miri mahbuba ye ajab shai hai
jahan men khaak nahin kuchh jo dost-var nahin
Leave a Reply