khud saval aap hi javab huun main
zindagi ki khuli kitab huun main
yuun to ik jura-e-sharab huun main
gardish-e-vaqt ka javab huun main
justaju-e-sukun-e-dil thi mujhe
gharq-e-dariya-e-iztirab huun main
meri qimat hai pyaar ke do-bol
kitne saste men dastiyab huun main
kabhi naghma-taraz tha main bhi
aaj tuuta hua rabab huun main
ranj gham dard be-kasi hasrat
‘mir’ ka jaise intikhab huun main
kaun mujh par yaqin laega
apni nazron men khud sarab huun main
pahle sailab se pareshan tha
ab ki mahv-e-talash-e-ab huun main
mukhtalif rang hain mire ‘abid’
kabhi jalva kabhi hijab huun main
Leave a Reply