
Azhar Abbas
kis ne kaha ki chup huun miyan bolta nahin
jab aag bolti ho dhuan bolta nahin
raste ki baat ghaur se sunta huun is liye
rah men kisi se ham-safaran bolta nahin
yuun to har ek shaḳhs ka apna hi shor hai
lekin kisi se koi yahan bolta nahin
bas yunhi puchhta huun makinon ka hal-chal
barson se band hai ye makan bolta nahin
sar kha liya hai dil ne mira bol bol kar
kahta huun main jahan pe vahan bolta nahin
kitni hi dastanen sunata hai lahr lahr
kahne ko yuun to ab-e-ravan bolta nahin
dil men utarta jaata hai us ka kaha hua
chahe vo shaḳhs meri zaban bolta nahin

Leave a Reply