• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apni Aur Kisi Se Kis Din Rah-O-Rasm-O-Rifaqat Thi

Apni Aur Kisi Se Kis Din Rah-O-Rasm-O-Rifaqat Thi

apni aur kisi se kis din rah-o-rasm-o-rifaqat thi

aati jaati saans thi jis ki saa.at sangat thi

tujh ko ḳhayal na aaya varna kis din itne garan the ham

ik do harf-e-muravvat socho kaun si aisi qimat thi

main bhi apni dhun men ravan tha vo bhi apne-ap men gum

baat ki naubat kaise aati kis ko itni fursat thi

biit chuke vo din vo zamane rahat bhari aziyyat ke

yaad kise ab kaun bata.e duuri thi ki vo qurbat thi

kucha kucha phailen baten qat.a-e-ta.alluq-ḳhatir ki

auron ka to zikr hi kya divar-o-dar ko hairat thi

kitne hain jo ab tak pahunche apni zaat ki manzil tak

harf-o-bayan se baat hai bahar aisi kaḌi masafat thi

gosha-gir faqir the ham to maslak ijz-o-niyaz ‘bashir’

kyuun be-sud kisi se ulajhte apni kis se adavat thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aaine Ke aaKHiri Izhaar Mein

Hamara to Koi Sahaara Nahin Hai

aal-e-ahmad-suroor

Khayal Jin Ka Hamein Roz-O-Shab Satata Hai

Kam Ranj Mausam-E-Gul-E-Tar Ne Nahin Diya

Abr Sarka Chand Ki Chehra-Numai Ho Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet