nit-nae rang se karta raha dil ko pamal
barbat-e-jan men samaya hua ik husn-e-malal
umar kaati hai ghani chhanv men zulfon ki bahut
aao ab ranj ki dahliz pe sajde kuchh saal
vo badan jis ka ujala tha hamari jannat
dhyan men us ke hue aaj magar kaise nidhal
gori bahen bhi hamail raha karti thiin kabhi
aur ab sar bhi uthana hua zaanu se muhal
tu mayassar tha to dil men the hazaron arman
tu nahin hai to har ik samt ajab rang-e-malal
har taraf apne andhera hi andhera lekin
asman par ye sitaron ka chamakta hua jaal
Leave a Reply