• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / TuTne Par Koi Aae to Phir Aisa TuTe

TuTne Par Koi Aae to Phir Aisa TuTe

TuTne par koi aa.e to phir aisa TuuTe

ki jise dekh ke har dekhne vaala TuuTe

tu use kis ke bharose pe nahin kaat rahi??

charḳh ko dekhne vali!! tira charḳha TuuTe

apne bikhre hue TukḌon ko sameTe kab tak??

ek insan ki ḳhatir koi kitna TuuTe

koi TukḌa tiri ankhon men na chubh jaa.e kahin

duur ho ja ki mire ḳhvab ka shisha TuuTe

main kisi aur ko sochun to mujhe hosh aa.e

main kisi aur ko dekhun to ye nashsha TuuTe

ranj hota hai to aisa ki bata.e na bane

jab kisi apne ke baa.is koi apna TuuTe

paas baiThe hue yaron ko ḳhabar tak na hui

ham kisi baat pe is darja anokha TuuTe

itni jaldi to sambhalne ki tavaqqo na karo!!

vaqt hi kitna hua hai mira sapna TuuTe

daad ki bhiik na mang!! ai mire achchhe sha.er!!

ja tujhe meri dua hai tira kaasa TuuTe

varna kab tak liye phirta rahun us ko ‘javvad’

koi surat ho ki ummid se rishta TuuTe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bichhaD Ke Un Se Mile to Kai Sawal Hue

Hum Zarre Hain KHak-E-Rahguzar Ke

siraj-aurangabadi

Ashk-E-Khunin Hai Shafaq Aaj Meri Aankhon Mein

Yun Kisi Baat Se Ab Dar Nahin Lagta Mujhko

gulzar

Akele

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet