nishtaron par jism saara rakh diya
zaḳhm par lafzon ka phaha rakh diya
raat ki bhigi hui divar par
main ne ik raushan sitara rakh diya
raat tum ne raushni ke khel men
kyuun mire saa.e pe saaya rakh diya
main ne vo patvar bhi lauTa diye
biich dariya ke kinara rakh diya
phuul the in men magar ḳhushbu na thi
lafz ko sungha uThaya rakh diya
dushmani achchhi nikali vaqt ne
bojh in kandhon pe kaisa rakh diya
sab tamasha khel saara us ka tha
naam nahaq hi hamara rakh diya
Leave a Reply