niind ankhon men musalsal nahin hone deta
vo mira khvab mukammal nahin hone deta
aankh ke shish-mahal se vo kisi bhi lamhe
apni tasvir ko ojhal nahin hone deta
rabta bhi nahin rakhta hai sar-e-vasl koi
aur taalluq bhi moattal nahin hone deta
vo jo ik shahr hai paani ke kinare abad
apne atraf men daldal nahin hone deta
jab ki taqdir atal hai to dua kya maani
zehn is falsafe ko hal nahin hone deta
dil to kahta hai use laut ke aana hai yahin
ye dilasa mujhe pagal nahin hone deta
qarya-e-jan pe kabhi tuut ke barsen ‘ruhi’
zarf ashkon ko vo badal nahin hone deta
Leave a Reply