nikle chale aate hain tah-e-khak se khane
ye khvan-e-karam kis ne bichhaya hai khuda ne
jo dil men hai munh phod ke barvar nahin kahte
maara mujhe yaron ki durust aur baja ne
ghaflat men hain sar-mast badalte nahin karvat
go sar pe utha li hai zamin shor-e-dara ne
israf ne arbab-e-tamavvul ko duboya
aalim ko tafakhur ne to zahid ko riya ne
mard us ko samajhte na kiya ho jise badmast
ayyam-e-javani ki mai-e-hosh-ruba ne
ba-in-hama darmandagi insan ke ye daave
kya zat-e-sharif in ko banaya hai khuda ne
jalvat ka bharosa hai na khalvat ki tavaqqo
sab vahm tha yaron ne jo taake the thikane