milti hai zindagi men mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inayat kabhi kabhi
sharma ke munh na pher nazar ke saval par
laati hai aise mod pe qismat kabhi kabhi
khulte nahin hain roz dariche bahar ke
aati hai jan-e-man ye qayamat kabhi kabhi
tanha na kat sakenge javani ke raste
pesh aaegi kisi ki zarurat kabhi kabhi
phir kho na jaaen ham kahin duniya ki bhiid men
milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi
Leave a Reply