• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Fasle Koi Nikle Na Qurbaten Niklin

Na Fasle Koi Nikle Na Qurbaten Niklin

na fasle koi nikle na qurbaten niklin

vafa ke naam se kya kya siyasaten niklin

khuli hai vahshat-e-alam pe aaj kakul-e-yar

kuchh aur daur-e-ḳhirad teri nisbaten niklin

hazar hathon ke paiman-e-nau ka markaz hai

hava ke haath men na-did taqaten niklin

sipah-e-ishq jahan ḳhandaqon men jalti thi

vo moḌ kaaT ke aḳhir mohabbaten niklin

faza-e-taza-nafas dilbari ki aa.i hai

na.i na.i gham-e-dil ki masafaten niklin

sharar-e-mahr-o-nam-e-abr ke taghayyur tak

visal-e-dost men kya kya nazakaten niklin

vahi ki rashk-e-raqiban se tira-tar hai jo zulf

kal ittifaq se us ki hikayaten niklin

vo harf-e-shak hai ki ahl-e-yaqin nahin samjhe

dimagh-e-kufr se kya kya haqiqaten niklin

kamand-e-sariq o mar-e-siyah men aḳhir

ye kis ka haath tha ye kis ki hikmaten niklin

visal-o-hijr se kya ishq se sambhal na sakin

tiri nigah men aisi nadamaten niklin

nigar-ḳhane ke naqsh-o-nigar kuchh bhi na the

junun ki aankh men ghaltida suraten niklin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Uljhi Aqidaton Ke Bayanat Ham-Safar

Ham-Sae Mein Shaitan Bhi Rahta Hai KHuda Bhi

poet

Munh Se Go Wo Kuchh Na Kahen Par Aankhen Sab Kuchh Bolen Hain

Harf Ke Phul Chun Ke Late The

Maslahat-Kosh Na the KHwab Jalane Se Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet