nigah ki sho.ala-faza.i ko kam hai diid us ki
charagh chahta hai lau zara mazid us ki
darun-e-dil kisi zaḳhm-e-dahan-kusha ki tarah
bahut dinon se talab hai baḌi shadid us ki
mila to hai koi bint-e-inab sa lab lekin
hamare shahr men mamnua hai kashid is ki
ab us ka haq hai bahisht-e-badan pe ja uThna
nigah hui hai rah-e-did par shahid us ki
main sar-ba-ḳhak huun taaki vo surḳh-ru ho jaa.e
bapa jo matam-e-dil ho to phir ho iid us ki
Leave a Reply