Nigah-E-Shauq Tera Haz uThana Chahungi

nigāh-e-shauq tirā haz uThānā chāhūñgī

ḳhayāl-e-ḳhām tujhe āzmānā chāhūñgī

mirī bhī miTTī vahī hai ki jo chanāb kī hai

so jald-bāz huuñ aur paar jaanā chāhūñgī

tumhāre ghar ko sajātī agar sambhal paatī

bikhar ga.ī huuñ to ab ḳhaak uḌānā chāhūñgī

ghane daraḳht tirī mehrbān chhāñv meñ

udaas shaam kā ik giit gaanā chāhūñgī

agarche tark-e-ta.alluq meñ bhūlnā behtar

magar maiñ phir bhī tumheñ yaad aanā chāhūñgī

Leave a Comment