zindagi ne jhele hain sab azaab duniya ke
bas rahe hain ankhon men phir bhi khvab duniya ke
dil bujhe to tariki duur phir nahin hoti
laakh sar pe aa pahunchen aftab duniya ke
dasht-e-be-niyazi hai aur main huun ab logo
is jagah nahin aate baryab duniya ke
main ne in havaon se dastan-e-gham kah di
dekhte rahe hairan sab hijab duniya ke
dekhen chashm-e-hairan kya intikhab karti hai
main kitab-e-tanhai tum nisab duniya ke
ham ne dast-e-duniya par phir bhi ki nahin baiat
jante the ham tevar hain kharab duniya ke
Leave a Reply