• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Nensi

Nensi

tanveer-anjum

sahra men jahan cactus ke darakht ziyada hain

us ne ik saeban aur ik bench banai hai

jis par nensi aram se us ki aghosh men

let ya baith sakti hai

puure chand ki raat men

nensi us se milne zarur aati hai

aur is bench par

us ke kandhe par sar rakh kar

us se baten karti hai

ya vo khamoshi se

chand sahra aur cactus ke darakhton ko dekhte rahte hain

us dauran vo apna dayan haath

nensi ki kamar ke gird daale rahta hai

agar nensi ko niind aa jaati hai

vo bilkul sakit ho jaata hai

taaki vo jitni der so sakti hai

soti rahe

nensi

jo peter ki biivi

aur douglas ki bahan hai

aur puure chand ki raat men

unhen dhoka de kar us se milti hai

agar kisi raat bench par

der tak soti rah jaae

vo tez raftar gaadi aur shikari banduq ke saath

nensi ko dhundte hue aa jaate hain

aur use akela sota hua pa kar

gaadi men daal kar le jaate hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

darshika-wasani

Kya Wahin Miloge Tum

Dekh in chiDiyon Ko chiDiya-Ghar Na Dekh

Wo Jo Viran Phira Karta Hai

Raat Bhar Suraj Ke Ban Kar Ham-Safar Wapas Hue

Duniya Wahi Hai Aur Wahi Saman-E-Zindagi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet