nek ho aur parsa ho tum
ye bhi kah do ki be-riya ho tum
dil tumhara bhi hai gudaḳhta kya
yuun to da.udi si sada ho tum
kya alag shai ho tum ḳhuda.i se
apne hone se bhi siva ho tum
kya hai beja baja hai kya baaba
sochte bhi kabhi ho kya ho tum
be-ḳhuda ‘shah’ bhi kahan kab hai
hai ye shohra ki ba-ḳhuda ho tum
Leave a Reply