ye socha hi nahin tha tishnagi men
kahan rakkhungi lab main bebasi men
tumhari samt aane ki talab men
main rukti hi nahin huun be-khudi men
dil-e-khush-fahm tujh se kitne honge
nisar us ki tamanna ki gali men
nahin vo itna bhi pagal nahin tha
jo mar jaata miri vabastagi men
mujhe ab ‘asima’ chalna padega
khud apne aap hi ki rahbari men
Leave a Reply