• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHubi Ka Teri Bas-Ki Ek Aalam Gawah Hai

KHubi Ka Teri Bas-Ki Ek Aalam Gawah Hai

poet

ḳhubi ka teri bas-ki ik aalam gavah hai

apni baghair dekhe hi halat tabah hai

aalam suna jo naaz ka hai us se al-aman

andaz-e-guftugu se ḳhuda ki panah hai

tevri ke Dhab hain aur nigah ke hazar Dol

chitvan ke laakh rang gharaz vaah vaah hai

naḳhun ye dil hilal hai abru ke rashk se

mukhḌe ka daagh rakhta kaleje pe maah hai

ḳhun-rez teri chashm ko batlate hain vale

chitvan men saath kahte hain phir uzr-ḳhvah hai

ḳhubi ka tere balon ki mazkur hai jahan

sumbul ka naam is jagah ik ru-siyah hai

deta hai teri qamat-e-dil-ju ka jo pata

be-saḳhta vo khinchta ik dil se aah hai

go ‘lutf’-e-ḳhufta-baḳht ke aao na ḳhvab men

lekin tire ḳhayal ko nit dil men raah hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Poshida Kyun Hai Tur Pe Jalwa Dikha Ke Dekh

poet

Ladakpan Mein Ye Zid Hai Jaani Tumhaari

poet

Tujh Mein Jis dam dhiyan Jata Hai

KHwahish-E-taKHt Na Ab Dirham-O-Dinar Ki Gunj

Jo Sunta Hun Kahunga Main Jo Kahta Hun Sununga Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet