nazren milin na apni kabhi guftugu hui
kahne ko roz duniya mire ru-ba-ru hui
yuun hi nahin bana hai tasavvur men tera aks
barson tujhe tarasha hai tab ja ke tu hui
pahle pahal to chalte rahe be-niyaz ham
thakne lage to manzilon ki justuju hui
ik din daraḳht-e-dil ko mere chhu gaya koi
barson ke ba.ad shaḳh-e-tamanna numu hui
pahli dafa hue hain in ankhon se ham-kalam
itne adab se pahle kahan guftugu hui
socha to ham ne tujh ko ka.i baar tha magar
ik umr ba.ad ham ko tiri aarzu hui
Leave a Reply