ye aur baat hai har shaḳhs ke guman men nahin
zamin kahan hai jo aghosh-e-asman men nahin
ziya-faraz jahan hain hazar mah-o-nujum
charagh koi magar mere ashiyan men nahin
vafur-e-ishq ki nairangiyan are tauba
jo dil men dard hai vo dil ki dastan men nahin
tum apna tir-e-ada meri ruuh men DhunDo
in abaruon ki lachakti hui kaman men nahin
ye aur baat ki gulshan pe gir paḌe bijli
kami to koshish-e-tanzim-e-gulistan men nahin
jo apni sust-ravi ka ilaaj kar na sake
maqam us ka koi ahl-e-karvan men nahin
rumuz-e-uqba se ahl-e-zamin hon kya vaqif
kisi bhi pahlu koi rabt do-jahan men nahin
‘falak’ main kaifiyyat-e-dil se ḳhud pareshan huun
kisi fughan men asar hai kisi fughan men nahin
Leave a Reply