nazar uTha dil-e-nadan ye justuju kya hai
usi ka jalva to hai aur ru-ba-ru kya hai
kisi ki ek nazar ne bata diya mujh ko
surur-e-bada-e-be-saghar-o-subu kya hai
qafas azaab sahi bulbul-e-asir magar
zara ye soch ki vo dam-e-rang-o-bu kya hai
gada nahin hain ki dast-e-saval phaila.en
kabhi na aap ne puchha ki aarzu kya hai
na mere ashk men shamil na un ke daman par
main kya bata.un unhen ḳhun-e-arzu kya hai
suḳhan ho sam.a-ḳharashi to ḳhamushi behtar
asar kare na jo dil par vo guftugu kya hai
Leave a Reply