nazar men sab ki miri be-ḳhudi ka aalam hai
kise ḳhabar ki baḌi bebasi ka aalam hai
ajiib shai hai ye nairangi-e-zamana bhi
kisi ka koi nahin hai kisi ka aalam hai
main ab haqiqat-e-duniya samajh gaya shayad
ḳhud apne aap se beganagi ka aalam hai
har ek dekh raha hai mire tabassum ko
kise ḳhabar jo miri zindagi ka aalam hai
mujhe aziiz hai ab yuun ‘ra.is’ nakami
suna hai gham se guzar kar ḳhushi ka aalam hai
Leave a Reply