• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nazar Mein Rang Samae Hue Usi Ke Hain

Nazar Mein Rang Samae Hue Usi Ke Hain

nazar men rang sama.e hue usi ke hain

ye saare phuul ugaa.e hue usi ke hain

usi ke lutf se basti nihal hai saari

tamam peḌ laga.e hue usi ke hain

usi ke husn ki parchha.iyan hain patton par

zamin ne bojh uTha.e hue usi ke hain

vo jis ke qurb se harf-e-visal hai raushan

mire charag jala.e hue usi ke hain

ye barishen bhi usi ki hain meri a.ankhon men

ye abr zehn pe chha.e hue usi ke hain

ye agahi jo hamen yuun hamare haal ki hai

ye sab kamal sikha.e hue usi ke hain

ye toḌ-phoḌ ghazal men usi ke naam ki hai

ye saare shor macha.e hue usi ke hain

hamare lahje men jo ik miThas hai baaqi

hamen ye zahr pila.e hue usi ke hain

ba-juz jamal hamen aur kya dikha.i de

nazar pe pahre biTha.e hue usi ke hain

usi jabin se nikalta hai ‘qais’ chand mira

ye asaman saja.e hue usi ke hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

laDkhaDate Hue Bhi Aur Sambhalte Hue Bhi

Qurbaten Nahin Rakkhin Fasla Nahin Rakkha

kaifi-azmi

Tum

majrooh-sultanpuri

Go Raat Meri Subh Ki Mahram To Nahin Hai

Ye Kaisi Pyas Hai Main Jism Ke Sarab Mein Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet