nazar ke samne rahna nazar nahin aana
tire siva ye kisi ko hunar nahin aana
ye intizar magar ikhtiyar men bhi nahin
pata to hai ki use umr bhar nahin aana
ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki
jo ja chuka hai use laut kar nahin aana
zara si ghaib ki luknat zaban men laao
baghair is ke sukhan men asar nahin aana
har aane vaala naya rasta dikhata hai
isi liye to hamen raah par nahin aana
zara vo dusri khidki bhi khol kamre ki
nahin to taaza hava ne idhar nahin aana
karun masafaten na-afrida rahon ki
mujh aisa baad men avara-sar nahin aana
Leave a Reply