ashna ho kar bhi us ne mujh ko pahchana na tha
us ke is bartav ka kuchh mujh ko andaza na tha
aise ik tapte safar ki dastan thi zindagi
dhuup thi saa.e men lekin dhuup men saaya na tha
kya kahun tujh se bichhaḌ kar zindagi kaise kaTi
harkaten karti thi sansen aur main zinda na tha
gir gaya kyuun yak-ba-yak taara zamin par TuuT kar
asman dekha tha main ne aur kuchh manga na tha
ham-zaban sab the nadarat bhiiḌ ke us shahr men
gird mere buildingen thi koi ham-saya na tha
phir bhi us rishte ko main ne TuuT kar chaha ‘pavan’
vo ki jis rishte se mera koi bhi naata na tha
Leave a Reply