naz-o-nazakat shab nahin ab
ham ko mohabbat shab nahin ab
ek shikayat thi tum se par
kya thi shikayat shab nahin ab
umr baḌhi to bachpan ruTha
koi shararat shab nahin ab
jaise-taise ji lete hain
rasm-o-rivayat shab nahin ab
chuka rahe hain aaj talak bas
kis ki qimat shab nahin ab
yahin kisi ik ghar ke the par
nam-pata chhat shab nahin ab
rang chaḌha hai aisa us ka
apni aadat shab nahin ab
Leave a Reply