naya adam koi na.i hadon ka intiḳhab ab
utaar luun main ruḳh se ye davam ka naqab ab
ham apni zindagi ko ḳhud se duur le ke ja.enge
ki phuTne hi vaala hai ḳhala ka ye habab ab
janam na le sake tire bhanvar ki aankh men to kya
ham aur paniyon men DhunD lenge ik sarab ab
sada sukut jo bhi chahiye uTha le is ghaḌi
main band kar raha huun aise marhalon ke baab ab
jahan hai jo kahan hai vo jahan nahin hai sab vahin
tarashne laga huun kis tilism se main ḳhvab ab
jahan hai aks ka khanDar umaD paḌe hain sab udhar
‘riyaz’ ho raha hai tera aa.ina ḳharab ab
Leave a Reply