kitni der aur hai ye bazm-e-tarab-nak na kah
raas aati hai kise gardish-e-aflak na kah
kyuun Thaharta nahin gulzar men koi mausam
kya kashish rakhti hai ḳhushbu-e-tah-e-ḳhak na kah
dekh to rang tamannaon ki betabi ke
kal fana hai magar ai sahab-e-idrak na kah
dard ki aanch abad tak hai kisi ruup men ho
aaj ke phuul ko a.inda ke ḳhashak na kah
lafz ki zarb to hai sa.iqa-o-sang se saḳht
dil bahut narm hain na-gufta-o-be-bak na kah
gham-gusaron ko bhi hai apne hi alam se kaam
dil pe jo biiti hai ai dida-e-namnak na kah
shauq hi ziist bhi hai ziist ki agahi bhi
is masiha-nafas-azar ko saffak na kah
dil-e-farhad junun-fahm ko nadan na samajh
chashm-e-parvez-e-tunuk-hosh ko chalak na kah
ḳhud-numa.i thi ki tha mahbas-e-pindar ka ḳhauf
qais ke jaib-o-gareban rahe kyuun chaak na kah
bujh na jaa.en kahin dil ahl-e-tamanna ke ‘ziya’
kaise sho.alon se hai ye jashn-e-tarab-nak na kah
Leave a Reply