navak kahen sinan kahen talvar kya kahen
tu hi bata tujhe nigah-e-yar kya kahen
shikva na daam ka hai na sayyad ka gila
ham aap ho gae hain giraftar kya kahen
izhar-e-hal-e-zar ka aison se faeda
azar dil ka tujh se dil-azar kya kahen
karte hain vaaiz aap mazammat sharab ki
kahte hain kya janab ko mai-khvar kya kahen
aison se tark-e-mai ka ‘mubarak’ saval kya
tauba ki tujh se rind-e-qadah-khvar kya kahen
Leave a Reply