jalal-e-atish-o-barq-o-sahab paida kar
ajal bhi kaanp uthe vo shabab paida kar
tire khiram men hai zalzalon ka raaz nihan
har ek gaam par ik inqalab paida kar
sada-e-tisha-e-mazdur hai tira naghma
tu sang-o-khisht se chang-o-rubab paida kar
bahut latif hai ai dost tegh ka bosa
yahi hai jan-e-jahan is men aab paida kar
tire qadam pe nazar aae mahfil-e-anjum
vo bankpan vo achhuta shabab paida kar
tira shabab amanat hai saari duniya ki
tu khar-zar-e-jahan men gulab paida kar
sukun-e-khab hai be-dast-o-pa zaifi ka
tu iztirab hai khud iztirab paida kar
na dekh zohd ki tu ismat-e-gunah-alud
gunah men fitrat-e-ismat-maab paida kar
tire jilau men nai jannaten nae dozakh
nai jazaen anokhe azaab paida kar
sharab khinchi hai sab ne gharib ke khuun se
tu ab amiir ke khuun se sharab paida kar
gira de qasr-e-tamaddun ki ik fareb hai ye
utha de rasm-e-mohabbat azaab paida kar
jo ho sake hamen pamal kar ke aage badh
jo ho sake to hamara javab paida kar
bahe zamin pe jo mera lahu to gham mat kar
isi zamin se mahakte gulab paida kar
tu inqalab ki aamad ka intizar na kar
jo ho sake to abhi inqalab paida kar
Leave a Reply