nau-giraftar-e-qafas huun mujhe kuchh yaad nahin
lab pe shevan nahin naala nahin fariyad nahin
naznin koi nai baat to paida ho kabhi
zulm men lutf hi kya hai agar ijad nahin
main bashar huun mire milne men burai kya hai
aap kuchh huur nahin aap pari-zad nahin
vaae taqdir ki jab khugar-e-azar hue
vo ye farmate hain ham mail-e-bedad nahin
Leave a Reply