naseha faeda kya hai tujhe bahkane se
kar-e-hushyar kahin bhi hua divane se
na gharaz kaabe se matlab hai na but-khane se
hai faqat zauq mujhe yaar ke ghar jaane se
vo utha kya ki abr-e-karam pahlu se
chashm se chashm bahe shokh ke uth jaane se
sozish-e-dil na yaqin ho to jigar chiir ke dekh
aable lakhon pade tere hi gham khane se
Leave a Reply