• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Juda Kya Ho Gae Tum Se Na Phir Yakja Hue KHud Se

Juda Kya Ho Gae Tum Se Na Phir Yakja Hue KHud Se

poet

juda kya ho ga.e tum se na phir yakja hue ḳhud se

mila vo iḳhtiyar aḳhir ki ham tanha hue ḳhud se

tah-e-ab-e-dil-o-jan motiyon ki tarah rahte hain

jo manzar is jahan-e-ḳhak men paida hue ḳhud se

chhupa lete tiri surat ham apni aankh men dil men

lab-e-goya ke hathon kis liye rusva hue ḳhud se

uḌi vo ḳhak-e-dil surat nazar aati nahin apni

pareshan ho ga.e itne ki bargashta hue ḳhud se

vo jhelen saḳhtiyan jaan par ki dil patthar hua apna

bachaya is qadar ḳhud ko ki be-parva hue ḳhud se

mila vo nuur ankhon ko ki be saaya hue ham bhi

hijab-e-la-makan paaya jo be-parva hue ḳhud se

paḌe the be-ḳhabar kab se ḳhamoshi ke samundar men

hava aisi chali ham zamzama-paira hue ḳhud se

ab is zauq-e-huzuri ke maze kis se bayan kijiye

ham apni ḳhalvaton men kis tarah goya hue ḳhud se

‘nadim’ apne safine ko baha kar le ga.e har-su

jo tufan qulzum-e-jan men mire barpa hue ḳhud se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shabnam-shakeel

Manzar Se Kabhi dil Ke Wo Hatta Hi Nahin Hai

Adu Ke Pairon Se kanTe Nikalne Wale

ahmad-javed

Maujud Hain Kitne Hi Tujhse Bhi Hasin Kar Ke

poet

Kar-E-Mushkil Hi Kiya Duniya Mein Gar Maine Kiya

poet

Ishq-E-Nakaam Ka Dastur Tumhein Kya Malum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet