naqsh jab zaḳhm bana zaḳhm bhi nasur hua
ja ke tab koi masiha.i pe majbur hua
par parvaz bhi tab tak na khule the jab tak
baiTh jaane ki thakan se na badan chuur hua
din ki chhalni men tira lamha-e-fursat chhane
dil to lagta hai isi kaam pe mamur hua
daman-e-dost hai ik zehn ke pardon men kahin
jis qadar haath baḌhaya hai so vo duur hua
kabhi be-samt na hone ki dua mangi thi
kasrat-e-samt se rasta mira ma.amur hua
chiḳhna chahti huun chiḳh nahin paati huun
ḳhvab hota tha haqiqat ko bhi manzur hua
Leave a Reply