ye nim-khvab ghaas par udaas udaas naqsh-e-pa
kuchal raha hai shabnami libas ki hayat ko
vo motiyon ki barishen faza men jazb ho gaiin
jo khak-dan-e-tira par baras rahi thiin raat ko
ye rahravan-e-zindagi khabar nahin kahan gae
vo kaun sa jahan hai azal nahin abad nahin
daraz se daraz-tar hain halqa-ha-e-roz-o-shab
ye kis maqam par huun main ki bandishon ki had nahin
hai markaz-e-nigah par chatan si khadi hui
udhar chatan se pare vasia-tar hai tirgi
use phalang bhi gaya to is taraf khabar nahin
adam kharab-tar mile na maut ho na zindagi
hazar baar chahta huun bandishon ko tod duun
magar ye ahani rasan ye halqa-ha-e-bandagi
lipat gae hain paanv se lahu men jazb ho gae
main naqsh-pa-e-umr huun fareb-khurda-e-khushi
koi naya ufuq nahin jahan nazar na aa saken
ye zard zard suraten ye haddiyon ke jod se
hava ke bazuon men kaash itni taab aa sake
dikha saken vo ahd-e-nau hi zindagi ke mod se