naqsh dil par kaisi kaisi suraton ka rah gaya
kitni lahren ham-safar thiin phir bhi pyasa rah gaya
kaisi kaisi ḳhvahishen mujh se juda hoti ga.iin
kis qadar abad tha aur kitna tanha rah gaya
DhunDne nikla tha avazon ki basti men use
soch kar viran guzargahon pe baiTha rah gaya
us se milna yaad hai mil kar bichhaḌna yaad hai
kya bata sakta huun kya jaata raha kya rah gaya
main ye kahta huun ki har ruḳh se basar ki zindagi
zindagi kahti hai har pahlu adhura rah gaya
ahd-e-rafta ki khuda.i kis qadar mahngi paḌi
jis jagah unchi imarat thi gaḌha sa rah gaya
sirf itni hai ‘muzaffar’ apni rudad-e-hayat
main zamane ko zamana mujh ko takta rah gaya
Leave a Reply