naqab us ne ruḳh-e-husn-e-zar pe Daal diya
ki jaise shab ka andhera sahar pe Daal diya
sama.aten huiin pur-shauq hadson ke liye
zara sa rang-e-bayan jab ḳhabar pe Daal diya
tamam us ne mahasin men aib DhunD liye
jo bar-e-naqd-o-nazar dida-var pe Daal diya
ab is ko nafa kahin ya ḳhasara-e-ulfat
jo daagh us ne dil-e-mo’tabar pe Daal diya
qarib o duur yahan ham-safar nahin koi
tiri talab ne ye kis rahguzar pe Daal diya
husul-e-manzil-e-janan se haath dho lenge
kuchh aur bojh jo pa-e-safar pe Daal diya
jo ham-azab tha us ki hi chhanv men aa kar
ḳhud apni dhuup ka lashkar shajar pe Daal diya
bhaTak raha tha jo asrar-e-fan ki vaadi men
uruuj de ke faraz-e-hunar pe Daal diya
be-e’tidal the ḳhud un ke ḳhatt-o-ḳhal ‘zafar’
har ittiham magar shishagar pe Daal diya
Leave a Reply