naqab chehre pe baten luab-dar kare
vo rahnuma hai siyasat ka karobar kare
ye sirf ḳhvabon kitabon ki baat lagti hai
ki ik gharib ki imdad mal-dar kare
na.e zamane ka rahzan naya saliqa hai
vo lauTta hai magar pahle hoshiyar kare
charagh le ke bhi DhunDhenge to milegi nahin
jahan men ek bhi hasti jo maan sa pyaar kare
hava ke zor se hi kashtiyan nahin chaltin
ki naḳhuda bhi ḳhuda se zara guhar kare
vo gul-badan hai mukammal bahar se baḌh kar
bas us ka zikr hi mausam ko ḳhush-gavar kare
na jaane kaun si basti ka tu hai bashinda
tujhe ‘dinesh’ koi gham na be-qarar kare
Leave a Reply